Sad Morning Hindi Poem

Ye Kaisi Subah Hui Hai Aaj Ki,
Ki Har Aur Saanjh Nazar Aati Hai

Tang Galliyon Mein Passri Si
Paglaai Huyi Ye *Siyaahi Nazar Aati Hai

Kal Raat Socha Tha, Roshni Ka Intezaar Karenge
Chhitak Kar Door Har Boore Khawab Ko
Mehboobo Yaar Ka Fir Ehtaram Karenge

Magar Ye Kya Hua Ki
Aaj Fir Suraj Rooth Gya
Apni Roshni Ko Samet
Aaj Mere Saaye Ko Bhi Juda Kar Gaya

Mujhe To Chalna Hai Aaj Bhi
**Siyaah Galiyon Mein
Khasta Haal Footpath Ke Pathron Ko Uchhalate Huye
Suna Hai
Is Gali Ke Mod Se Jo Rasta Jata Hai
Voh Roshni Ke Choraahon Per Ja Milta Hai.

* Siyahi - Darkness
** Siyah - Dark

No comments:

Post a Comment